Saturday, September 11, 2010

Viddrohi my friend


JNU campus mein hi nahi internet aur desh videsh mein bhi Aaj-kak viddrohi ji ki charcha badi joron par hai. jis tarah Viddrohi ji aaj kal charchaon mein hai mujhe kabhi-kbhi aissa lagta hai shayad issi tarah kabhi Unan mein sukrat bhi charchaon mein rahe honge.........1983 mein jo log jnu mein the unehen kuch batane ki jaroorat nahin hai Lekin uske baad ke log viddrohi ji ke baare mein bahut kam jante hain.....Bahut se log soch rahe hain ki ye viddrohi ji hain kaun jo na to jnu ke student hain aur hi Dr. Namver singh ki tarah koi mash..hoor Alochak...fir ye itna charchaon mein akhir kenv hai?Darasal viddrohi ji ek aisse krantikari hain jo kisi krantikari party mein nahin hain..isliye unnehen ek swatantra krantikari kaha jay to galat nahin hoga.....Lekin iske saath hi main ye bhi kahna chahta hoon ki Hamare desh mein agar krantikari Andolan sahi disha mein aage badha hota to viddrohi jaissa yogya aur pratibhavaan vyakti swatantra krantikari hargij nahota.....................mere yah baat kuch logon ko kadvee lag sakti hai Lekin aisse logon se main yah nahin kahna chahta ki mujhe maaf keejiyega.......Aaj to pridam sabke samne hai jo log viddrohi ji ko peeche chodhkar bahut aage nikal jaane ki firak mein the oh log kahaan hain? Kahin nahin hain baal-bacchhon ko hi paal-pos rahe hain ...Campus se bahar nikalte hi LaL jhande ko jeb mein rakh lene wallon ke pass iska koi uttar nahin hai...sach poocha jay to yah communist Andolan ki khamee thie...kenvki communist party bhi ussi ko aage badhana chahti thie jo dil bahlane ke liye ya khanapoorti krne ke liye Rajneeti bhi kar le aur Apne nijee future ke liye vibhinn cheton ke mathadheeson ke haath-paanv dabane ki kala mein mahir bhi bhi ho. ...mere nazar mein viddrohi ji un tammam logon se bahut jyada keemti vyakti hain jo log na to com. Lenin aur Stalin ban paye aur na hi Gorkey aur Premchand......Tata virla to khair inhen ban..na hi nahin thaa.....Fir likhoonga viddrohi par jaldi hi....Sabbr hai to jaroor intzaar keejiye kuch tathyatmak baatein hi karoonga .......

No comments:

Post a Comment